Zikre nabi - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Zikre nabi


ZIKR E NABI 

Jis Suhani ghadi chamka taibah ka Chand 


Hazraat ! Saal ke 12 mahino me ek bachche musalman ke nazdeek maa'n e rabiul awwal ki 12vin tarikh wah imaan afrooz aur rooh par war tarikh hai Jo islami aur iman khushyon ke hazoon gulshan apne daman me liye huye hai - dar haqiqat ye tarikh ek momin ke liye wah eid e Saeed hai ke eid ul fitr ho ya eid ul azha , shab e Barat ho ya , shab e qadar , har islami khushyon ka din aur har imaani khushyon ki raat isi 12win shareef ke tufail wa sadqah hai - 

Wallah ! Ye moqaddas tarikh agar apne daman me Milad un Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki musarrat wa shadmani liye huye Aalam e wajood me Na Aati to Na ka'aba qibla e ahle imaan hota Na nazool e Quran hota - Na din e Islam hota Na Koi momin wa musalman hota  - 

Huzoor shikam e madar me the ke walid ka inteqal ho gaya 


Hamare huzoor nurun Ala Noor sallallahu alaihi wasallam Abhi shikam e madar me the ke Aap ke walid e majid Hazrat Abdullah Razi Allah anho tejarat ke garz se mulk e sham gaye , wapsi ke waqt madinah tayyabah utre wahin bimar ho gaye aur 25 saal ki Umar me internal farma gaye - mash'hur qaul ke motabiq Hazrat Abdullah Razi Allah anho madinah tayyabah me daar e nabgah me dafan hue - aur ek qaul ke motabiq  maqam e abwa me madfoon hue 

Ref ( khasaise kubra , jild , 1 , page ,. 123 

Jab Aap sallallahu ta'ala alaihi wasallam shikam e madar me the ke Aap ke walid e majid Hazrat Abdullah Razi Allah anho ka inteqal ho gaya to farishton ne arz kiya , ya Allah ta'ala tera habeeb sallallahu ta'ala alaihi wasallam to yateem ho gaya to Allah ta'ala ne irshad farmaya ; mai khud apne mahboob sallallahu ta'ala alaihi wasallam ka Hafiz wa Nasir Hun 

Ref. Madarejun nabuwat , jild , 2, page :19 , Anwaare mohammadiya , page :22 

Aur Allah ta'ala ne farishton se farmaya aye farishton tum mere mahboob sallallahu ta'ala alaihi wasallam par darood padho aur unke Naam se barkat hasil karo - 

Hazrat e Imaam ja'afar sadiq Razi Allah anho se kisi ne puchha ke Huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke yateem hone ki kiya hikmat hai ke walidah majidah ke shikam e paak me the ke  walid e majid ka inteqal ho gaye phir 7 saal ke huye to walidah majidah wesaal farmaa gaeen phir dada Jaan Hazrat Abdul muttalib daag e mafarqat de gaye  , Aap ne farmaya is liye ke take Aap par kisi makhlooq ka ihsaan Na rahe , sirf Aap par Allah ta'ala ka ihsaan rahe aur Aap sallallahu ta'ala alaihi wasallam ka ihsaan sari kayenaat par rahe 

Ref ( seerat ul ambiya , page :36 

DAURAAN E HAMAL KOI TAKLEEF NA HUI


Hamare huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki walidah majidah Hazrat Aaminah tayyabah Razi Allah anha farmati hain ke shuru hamal se Aakhir tak mujhe Koi girani e hamal Jo auraton ko ayyam e hamal me ma'amool hoti hai mahsoos  Na huee - Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allah anho se rawayat hai ke Hazrat Aaminah tayyabah Razi Allah anha ne farmaya : mai baar daar ho gai thi lekin awwal se Aakhir tak maine Koi diqqat aur mushaqqat mahsoos Na ki 

Ref ( Tabqaat e kubra , jild , 1  , page : 98 , Albedayah wan nehayah , jild , 2 , page:364 , khasaise kubra , jild 1 , page :73 , Madarejun Nabuwat , jild , 2 , page:18 , Anwaare mohammadiya , page :22 

Aamad e Mustafa sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki basharat 


Hazrat Aaminah tayyabah Razi Allah anha farmati hain ke jab mahboob e khuda Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam mere shikam me the to kisi kahne wale ne kaha ke Aap is waqt ke sardar aur nabi ki maa'n banne wali hain 



Khasaise kubra , jild, 1 page :81 , mawahib e ladunya , jild , 1 , page :122 , Anwaare mohammadiya , page :23 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.