SEERAT E GHOUS E AZAM - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

SEERAT E GHOUS E AZAM


SEERAT E GHOUS E AZAM



PART:-05


Paidaish se pahle Vilayat ki shohrat

Aap kee Viladat se arsa baeed pahle mashaikhe kibaar Alaihirrehma ne aapki Viladat shan w shaukat maqam aur jalalat kee khabren dee chand ek darj kee jati hain.

Imam Hasan Askari Razi'allahu ta'ala anhu:


Imam Ghouse Saiyyadana Hasan Askari Razi'allahu ta'ala anhu ne apna sajjada  ( musalla ) Hazrat Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu kee khidmat mein pahunchane k liye apne ek mureed ko diya aur vseeyat farmaee ki usko bahut hifazat se rakhna aur apne marne k waqt kisi motamad aur motabar shakhs ko de dena aur usko vseeyat karna ki wah bhi marte waqt kisi doosre shakhs ko de de isi tarah panvi sadee k darmiyan tak yah silsila chalta rahe hatta ki Ghous e Azam jinka mubarak naam Shaikh Abdul-Qadir Al-Hasni Al-jeelani hoga zahir honge unki Amanat hai unko pahunchana aur mera salam kahna.


Hazrat Junaid Bagdadi Razi'allahu ta'ala anhu :


Irshad farmate hain ki mujhe aalame Ghous se Maloom hua ki panchvi sadi k wast mein Saiyyedul -Mursleen Alaihissalatu wattasleem kee aulade athaar mein se ek kutabe aalam hoga.
Jiska laqab muheeyuddin aur isme mubarak Saiyyad Abdul-Qadir hai aur wah Ghous e Azam hoga aur geeelan mein paidaish hogi unko khatamunnabieen Sallallahu alaihi wasallam kee aulade Athaar mein se Aimm-e-kiram aur Sahaba kiram Alaihimur'Rizwaan k alawa Awwali w Aakhiri k har wali aur waleeya kee gardan par mera qadam hai kahne ka hukm hoga..

Ref ( Tafreehul-khatir Safah, 26,27 )

Hazrat Hasan Basri Alaihirrehma :


Muhammad Bin Ahmad Bin Zaree'a Azzanjani kuddisa Sirrahoo Annoorani ne apni kitab Nuzhatul-khatir k bab shashum mein un mashaikh ka jinhone Hazrat Saiyyadana Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu k kutabeeyat k martaba kee shahadat dene ka tazkira farmate hue raqmtaraaz hain aapse pahle Auliyaurrahman mein se koie bhi Hazrat ka munkir na tha balki unhone aapki aamad-Aamad kee basharat dee hazrat hasan basri Rahmatullah ta'ala alaih ne apne zamana mubarak se lekar hazrat shaikh Muheeyuddin kutab Saiyyad Abdul-qadir jeelani Razi'allahu ta'ala anhu k zamana mubarak tak bil-Wazahat aagah farma diya hai ki jitne bhi auliya Allah guzre hain sabne shakh Abdul-qadir Razi'allahu Anhu kee khabar dee hai.

Ref ( Tafreehul -Khatir safah, 13.14 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.