Zikre nabi - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Zikre nabi


Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke maa'n , paap momin aur jannati hain 

 ummul mumeneen Hazrat Aaeesha siddaqa Razi Allah anho farmati hain ke - Hujjatul wad'a ke moqah par huzoor sallallahu alaihi wasallam mujh ko sath lekar maqam e hujun me tashreef le gaye , us waqt Aap sallallahu alaihi wasallam ro Rahe the aur bahut hi ziyadah gamgeen the - Aap sallallahu alaihi wasallam ki us halat ko dekh kar mai bhi ro padi - Aap sallallahu alaihi wasallam mujh ko unt par chhod kar tashreef le gaye aur bahut der tak wahan thahre rahe - jab wapas Aaye to Khush the aur muskura rahe the - maine arz kiya ya Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam mere maa'n baap Aap par qurban hon - jab Aap gaye the bahut ghamgeen aur ro Rahe the aur ab Aap Khush aur muskura rahe hain - to huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke mai apne walidah ke qabar par gaya tha aur apne Rab se sawal kiya ke wah unko zindah kar de - Allah ne unko zindah kiya to wah mujh par imaan laye phir Allah ne unko maut ki taraf lauta diya - 

Aur dusri rawayat me hai ke Aap sallallahu alaihi wasallam ne apne Rab se maa'n baap dono'n ke zindah hone ka sawal kiya to Allah ta'ala ne undono ko zindah kar diya to wah dono'n Aap par Imaam laye phir Allah ta'ala ne undono ko maut de di 

Ref ( Zarqani alal mawahib , jild , 1 , page 178 , Al hawi lil fatawa , jild , 2 , page :440 

Hazraat ! Hamare huzoor nurun Ala Noor sallallahu alaihi wasallam ke maa'n , baap jannat the - aur Jo mahboob e khuda sallallahu alaihi wasallam ka kalmah padhe aur imaan late wah khaira ummat se hain - usi garz se hamare piyare Aaqa Kareem sallallahu alaihi wasallam ne apne ijaaz se apne jannati maa'n , baap ko zindah kiya aur apna kalmah padha kar apne momin ummati me shamil farma kar khair ummat behtareen jannati hone ka haqdaar bana diya - 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho tahreer farmate hain ke Allah ta'ala ne huzoor sallallahu alaihi wasallam ke walidain karimain ko ashab e kahaf Razi Allah anho ki tarah zindah kiya take huzoor sallallahu alaihi wasallam par imaan la kar sharf e sahabiyat se sarfaraz ho jain 

Ref ( shamulul Islam , page :22 

Hazraat : Koi mokhalif sawal kar Sakta hai ke jab huzoor sallallahu alaihi wasallam ke maa'n, baap momin wa jannati the to unki qabr par jane ke baad ghamgeen kiya ho gaye aur roye kiya ? To us ka jawab ye hai ke har ne wa wafadar aulaad jab apne maa'n, baap ki qabr par ja to hai to maa'n , baap ke ihsanaat aur unke piyar aur unke ulfat ko yaad kar ke unke quloob ghamgeen hote hain aur Aankhen ashk baar ho jate hain - bas usi tarah hamare huzoor sallallahu alaihi wasallam bhi apne maa'n , baap ki qabr par tashreef le gaye to unki yaad Aaee aur unke piyar wa mohabbat me ghamgeen ho gaye aur rone lage aur hamare huzoor sallallahu alaihi wasallam Hazrat Aaminah tayyabah aur Hazrat Abdullah Razi Allah ta'ala anhum ke aise nek bete the ke unse pahle aisa nek Na Koi paidah hua aur Na ab qayamat tak paidah hoga - 

Aashiq e Mustafa  piyare raza achhe raza imaan Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho farmate hain 

Sare achho'n Me achha samajhye jise 

Hai us achhe se achha hamara Nabi 

Sab se Aala wa aula hamara Nabi 

Sab se Bala wa Wala hamara Nabi 

Reesul foqha Wal mohaddeseen Hazrat Allama ibne Aabedeen shami razi Allah anho farmate hain - 

Bela shubah hamare nabi sallallahu alaihi wasallam ke Allah ta'ala ne unke liye unke maa'n , baap ko zindah kar ke unka ikraam kiya - yahan tak ke wah Aap sallallahu alaihi wasallam par imaan laye - jaisa ke Hadees shareef me hai aur Allama qurtabi aur ibne Naseruddin Hafiz ash'sham wagairahuma ne is hadees ki tasheeh ki hai pas Aap ke maa'n , baap ka wafat ke baad khelaf e qayedah zindah hona aur imaan se mala maal hona sirf Nabi sallallahu alaihi wasallam ka ijaaz wa ikraam hai 

Ref ( Rad'dul mukhtar alad'durrul mukhtar , jild , 3 , page:400 

Hazraat! Hamare huzoor sallallahu alaihi wasallam ki piyari maa'n Hazrat Aaminah tayyabah Razi Allah anha hain jinke shikm e paak me Hamare Aaqa Kareem sallallahu alaihi wasallam 9 mahina jalwah gar rahe aur Hazrat Halimah sa'adiyah Razi Allah anha rezaaee maa'n hain  yani Hamare sarkar sallallahu alaihi wasallam ko Aap ne dudh pilaya hai 

Jang e hunain ke moqah par Hamare sarkar Mustafa Kareem sallallahu alaihi wasallam apne sahaba  ke hamraah maidan e hunain me tashreef farma hain ke ek khatoon Aati huee Nazar Aati hain , hamare sarkar , do Aalam ke sardar sallallahu alaihi wasallam unke liye khade hue aur apni chadar e Noor unke liye bichhai aur us chadar e rahmat par Hazrat Halimah sa'adiyah Razi Allah anha ko bathaya 

Ref ( Al'isti'aab ba'hawala shamulul Islam , page :30 

Hazraat ! Is hadees shareef se ham Aap ko ye batana chahte hain ke jab hamare huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam ko good me Lene wali aur dudh pilane wali maa'n , Hazrat Halimah sa'adiyah Razi Allah anha Jin ka is qadar uncha maqam hain to Hazrat Aaminah tayyabah Razi Allah anha ne to hamare sarkar Mustafa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ko 9 mahina apne shikam me rakha to unke maqam wa martabeh ka kiya Aalam ho ga - jab dudh pilane wali maa'n Hazrat Halimah sa'adiyah Razi Allah anha ke adab wa ta'azeem ka ye Aalam hai to haqiqi maa'n Hazrat Aaminah tayyabah Razi Allah anha ki ta'azeem wa tauqeer ka Aalam kiya ho ga 

Aye Imaam walon ! Qabr e anwar ka wah hissa Jo hamare piyare Aaqa sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke jism e Noor se mas hai , laga hua hai - ka'aba moazzamah se afzal , yahan tak ke arsh e Aazam se bhi afzal hai - qabr e anwar ke andar Aap sallallahu ta'ala alaihi wasallam tashreef farma hain to qabr shareef ka'aba moazzamah , Baitul moqaddas , Baitul ma'amoor aur arsh e moalla se afzal ho jai aur jis baap ki push me aur jis maa'n ki shikam me jalwah gar rahe hon aur jis maa'n ka dudh piya ho wah maa'n , baap kis qadr afzal wa buzurg honge 

Hazraat ! Hamara Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki ba'asat se qabl yaani ilaan e nabuwat se pahle Jo Khush naseeb hazraat tauheed par the لا الہ الا الله par imaan rakhte the wah us daur ke musalman wa jannati the - usi tarah hamare huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam maa'n , لا الہ الا الله  wale the , tauheed par the is liye us zamane ke momin wa musalman aur jannati the - uske bawajood Allah ta'ala ne Hazrat Abdullah Razi Allah anho aur Hazrat Aaminah tayyabah Razi Allah anha ko Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me ashab e kahaf ki tarah zindah kiya ke mere mahboob sallallahu ta'ala alaihi wasallam par imaan la kar sahabiyat ke azeem mansab wa maqam par bayez ho jain 

Ref ( shamulul Islam , page: 22 

Huzoor har kalmah padhne wale ko dozakh se nikal lengen 


یا رب ئدن لی فیمن قال لا الہ الا الله -  yàni aye mere Rab mujhe unko bhi dozakh se nikalne ki ijazat ata farma de jinhon ne sirf لا الہ الا الله -  kaha hai 

Ref ( Bukhari shareef , jild , 2 , page :18 , Ba'hawala , shamulul Islam , page : 22 

Hazraat ! Sahi Bukhari ki is hadees shareef se saaf taur par zahir wa sabit hua ki hamare huzoor nurun Ala Noor sallallahu ta'ala alaihi wasallam har tauheed wale aur kalmah padhne wale shakhs ko dozakh se bacha lengen - to hamare piyare Aaqa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke maa'n , baap kis tarah dozakh me ja sakte hain to manna pade ga ke Aap sallallahu ta'ala alaihi wasallam apne momin maa'n , baap ko Aala jannat se sarfaraz farmayen ge 

Aye Imaam walon ! Wahabiyon ka ye kahna ke Nabi ke maa'n , baap kafir wa mushrik the bilkul bekar aur nadaani ke bhawar me doobi hui baat hai - asal me wahabi kahna aur batana ye chahta hai ke jab Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke maa'n , baap kafir wa mushrik the to kafir wa mushrik dozakh me Jalen gen yàni jab Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam apne maa'n , baap ko dozakh ki Aag se nahi bacha sakte to apni ummat ko yàni ham ko aur Aap ko kiya bachayen ge Ma'azAllah sad'baar Ma'azAllah

Hazraat ! Sahi Bukhari ki hadees shareef Aap ne padh liya ke Allah ta'ala ki di hui taqat wa quwwat se Hamare sarkar Mustafa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam har momin wa musalman ko dozakh ki Aag se bacha kar jannat me dakhil farmayen ge 

La' raib ! Beshak wa shubah , hamare sarkar Mustafa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke maa'n , baap momin wa musalman the to sabit hua ki hamare sarkar Mustafa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke maa'n , baap jannati the - 

Aashiq e Mustafa sarkar Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho farmate hain 

Tujh se aur jannat se kiya matlab wahabi door ho 

Ham Rasool Allah ke jannat Rasool Allah ki 

Hazrat Abbad bin Abdus samad Razi Allah anho farmate hain ke ham Hazrat Anas bin Malik Razi Allah anho ke Ghar gaye , Hazrat Anas bin Malik Razi Allah anho ne khane ke liye dastarkhan bichhaya aur ek rumal bhi talab kiya - rumal bahut maila tha us kapde ko Aag ke tanoor me daal diya - thodi der ke baad jab us rumal ko Aag ke tanoor se nikala gaya to wah kapde ka rumal is qadar safed tha jaise dudh - ham ne hairan ho kar kaha ke aye Anas bin Malik Razi Allah anho ye kiya raaz hai ? Hazrat Anas bin Malik Razi Allah anho ne farmaya -  
ھذا مندیل کان رسول الله صلی الله تعالیٰ علیہ وسلم یمسح بہ وجھہ فاذا وسخ صنعنابہ ھکذا لان النار لا تاکل شیئا مر علی وجوہ الانبیآء  •  
Yani ye wah rumal hai ke jis se huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam apne munh Mubarak ko saaf kiya karte the jab bhi ye maila ho jata hai to ham is kapde ko isi tarah Aag me dho Lete hain kiyon ke Jo chiz ambiya e ekram ke chehre par guzar jaye Aag use nahi jalati -

Hazraat ! Jab ek kapda hamare huzoor Mustafa Kareem sallallahu alaihi wasallam ke chehre Noor aur jism e paak se mas ho jai to Aag us kapde ko nahi jalati - to Hazrat Abdullah Razi Allah anho wah paak baap hain Jin ki pusht me aur hazrat Aaminah tayyabah Razi Allah anha wah paak maa'n hain Jin ke shikam me Hamare huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam tashreef farma rahe to kiya majal ke dozakh ki Aag Hamare piyare Aaqa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke maa'n baap ko jala sake -

Hazraat ! Sahaba e ekram Razi Allah anhum ka iman kis qadar piyara aur mazboot tha ke bagair kisi hila aur hujjat ke tasleem kar lete the ke hamare sarkar Mustafa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke jism e Noor ki barkat yaqinan Badi shan wali hai - magar Aaj kal kuchh musalman kahlane wale aise log bhi paye jate hain Jo Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke tabarrukaat , muae Mubarak , Na'alain shareef , jism se mas hone wale pairahan Mubarak ki waq'at wa Ahmiyat to bahut door ki baat hai  khud mahboob e khuda Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ko apne jaisa bashar kahte hain aur apni kitab on me likhte bhi  hain Allah ta'ala aise beiman logon se ham ko door rahne ki taufique Ata farmaye - Aameen summa Aameen

Wahabiyon ka Aqidah : wahabiyon , deobandiyon , tabligyon ke shaheed kahlane wale maulwi ismaeel dehlawi likhte hain ke Auliya , Ambiya , wa Imaam zade peer wa shaheed yàni jitne Allah ke moqarrab bande hain wah sab insan hi hain aur bande Aajiz aur hamare bhai hain - magar Allah ne unko badaee di hai wah bade bhai huye -

Ref ( Taqwiyatul imaan , page , 60

Hazraat ! Aap hazraat ne dekh liya ke bad'Aqidon ne kaise andaaz se mahboob e khuda Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam aur tamam Ambiya keraam ko Aajiz aur majboor sabit kiya hai aur unko apne jaisa aur apna bhai aur apna bada bhai kah diya - Allah ta'ala beimaan ko Adab e ehteram se mahroom rakhta hai  -

♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com





No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.