Deeni maloomat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Deeni maloomat


DEENI MALOOMAT 

AAO DEEN PAR CHALE 

Shaitaan kee  chalon mein se ek chal yah bhi hai hai ki insan ko kharab w barbad karne ke liye zaroori Islami Ahkam namaz roze aur zakat wagairah kee taraf se uski dil hata deta hai aur gair zaroori baton nawafil w mustahabat sadqat nafil aur khairat nyaaz w fatha, urs w meelad , jalse w juloos aur deegar w azkar mein uske liye ragbat aur dilchaspi paida kar deta hai aur bajaye faraeez w wajibaat ke un kamon ke liye use ubharta hai aur wah shakhs ko muttaqi parhezgar deendar khayaal karne lagta hai halanki wa gumrahi se bahut qareeb hai aur khuda w rasool se bahut door hai yaad rakho jiska dil fazr w juhar w asar w magrib w isha mein na lagta ho aur wah unka khayal w ahtamam na rakhta ho aur ishraq w chashat , tahajjud w awwabeen , azkar w wazaeef aur nawafil mein use khoob maza aata ho us par shaitan ka danw chal gaya hai aur yah deendari ke name par dhoka kha gaya aise kee sohbat doosre ke liye bhi khatarnak hai

Ref ( Aao deen par chale pg , 38,39 )

IBADAT AUR NEK KAM MARTABE HASIL KARNE KE LIYE NAHI'N KARNA CHAHIYE 

Allah kee ibadat uski bandagi ke izhar uska haq Ada Karne kee koshish aur uski mohabbat kee wajah se karna chahiye ki Allahne mujh par be shumaar ahsanat w in'aamat farmaye hain main banda hu'n wah mera rab hai mera farz aur zimmedari hai ki main uska shuk Ada karoon uski bandagi ka izhar aur ibadat karoon kuch log jo is liye ibadat kartey Hain taki wah Allah ta'ala ke Wali aur kutab ban jaye ya sahibe kashf w karamat  ho jaye taki hamare padhne fookne aur taveez gando me asar paida ho jaye aur hame shoharat w maqbooliyat hasil ho 

Jaye tou unki niyat behtar nahi hai aur unki ibadat ek taraf kee duniyadari balki baaz kee tou niri dukandari hai bhaiyon martabe unhe nahi mil pate jo martabon ke talabgar hote hain tum tou apni nijaat w magfirat kee fiqr karo Allah ta'ala kee mohabbat mein ibadat karte raho martabe dena Allah ka kam hai kisi ko bagair kuch kiye de deta hai aur kisi ko karne ke baad bhi nahi deta aur ibadat w riyazat karne wale karte rahte hain aur inhe martabe bhi mil jate hain lekin inhe pata bhi nahi chalta ki wah kaun se martabe par faeez ho gaye wah khud ko gunaahgar khayal karte rahte hain Auliya w soofiya me se ek giroh ka khayal yah hee hai ki wali ko apni wilayat ka ilm hona zaroori nahi...

Ref ( Aao deen par chale pg , 40,41 )


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com



  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.