Hazrat Yaqoob aur Hazrat Yoosuf Alaihis salam - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Hazrat Yaqoob aur Hazrat Yoosuf Alaihis salam


HAZRAT YAQOOB AUR HAZRAT YOOSUF ALAIHIS SALAM 

Part:-07


Qaidi Yoosuf Alaihis'salam 


Hazrat Yoosuf Alaihis'salam k qaidkhane mein aane se doosre qaidiyon kee jaan mein jaan aayi aur khushi se nach uthe Hazrat Yoosuf Alaihis'salam ko ek khas kamre mein qaid rakha gaya Hazrat Yoosuf Alaihis'salam jab ibadat se farigh hotey they tab qaidiyon se unka haal poochte aur unhein tasalli dete aur unhein deen aur iman kee acchi-acchi batein sunate qaidi unki sohabat se bahut Khush rahte ki qaidkhane kee museebat tak ko bhool jate Hazrat Yoosuf Alaihis'salam ek lambe arse tak kaidkhane mein rahe jab Allah ta'ala ne Unhe qaid se Nikalna chaha tou ghaib se iske Asbab muhaiya ho gaye kahte hain ki badshah room ne apna ek elahi misr bheja aur use maal aur jawaharat aur thoda sa zahar diya tha taki wah misr k badshah k kisi musahib ko maal dekar is baat par aamada kare ki badshah ko kisi bahane se zahar khilakar halak kar de.

Wah elchee misr pahuncha aur badshah k khas bawarchi aur sharabdar ko apna dost banaya aur bade razdarana andaz mein usse apna maqsad bayan kiya  sharabdar ne tou saaf inkar kar diya ki wah kisi qeemat par bhi badshah ko zahar nahi'n de sakta , lekin Shahi bawarchi daulat k lalach se abhi badshah ko wah zahar de nahi saka tha ki kisi tha is sazish ka Raz khul gaya aur badshah ko yah maloom hua ki sharabdar aur Shahi bawarchi use zahar dene kee skeem mein shareek they lekin in dono'n mein se kisi khas shakhs par gunah sabit nahi hota tha, isliye badshah ne dono'n ko qaidkhane mein bhej diya yah dono'n qaidi jab jelkhane pahuche aur waha'n Hazrat Yoosuf Alaihis'salam kee hamnasheeni aur sohabat unhe hasil hue tou we badshah kee musahabat bhool gae aur Hazrat Yoosuf Alaihis'salam hee kee khidmat mein rahne lage.

Ek roz dono'n ne socha ki Yoosuf Alaihis'salam harek qaidi ko khuskhabri deta hai aur harek k khwab kee tabeer karta hai aur harek kee uljhane ko door karta hai hame bhi aazamana chahie fir we donon Hazrat Yoosuf Alaihis'salam kee khidmat mein pahunche aur ek ne kaha, maine khwab dekha hai ki main badshah k liye Angoor nichod raha hoon , doosre ne kaha maine khwab dekha hai ki mere sar par rotiyon ka khwaan hai aur chidiyan panje markaz kha rahi hai...

Ref ( Qanssul Anbiya )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.