DEENI MALOOMAT
DEENI MALOOMAT
SAWAL NO:-01 Zameen w Aasman mein pahle Kaun paida hua?
SAWAL NO:-02 Wah kaunse Sahabee hain Jinhone Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee Zindagi mein logon ko Namaze padhaee?
SAWAL NO:-03 Wah Kaunse Sahabee hain jinko Allah ta'ala ne apna Salam kahlawaya?
SAWAL NO:-04 Tauret kis Tareekh mein Nazil huee?
SAWAL NO:-05 Quran Kis Tareekh mein Nazil hua?
AL JAWAB
JAWAB NO 01 Zameen Afzal hai kyonki Aasman Agarche farishton k rahne kee jagah hai aur Gunahon kee jagah nahi'n lekin zameen Hazrate Ambiya-e-keram Alaihis'salam khusoosan hamare Nabi Sallallahu ta'ala alaihi wasallam ka makan yani thaharne kee jagah aur dafan hone kee jagah hai.
Ref ( Jazabul Kuloob , page, 18 )
JAWAB NO 02 Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu hain ki teen 3 din mein 17 waqt kee Namaze padhaee.
Ref ( Madarijjunnabuwat, 2 , page 571 , Nuzhatul Qari , 3 , page 143 )
JAWAB NO 03 Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu.
Ref( Tafseer Azeezi Para, 30 , page, 208 )
JAWAB NO 04 Cha 6 Ramzaan ko Nazil huee
Ref ( Alitqan, 1 , Page 41 , Fatawa Hadeesiya, page 169 )
JAWAB NO 05 Lauhe Mahfooz se Aasmane Duniya kee taraf uska Nuzool ( utarna ) Ramzan shareef kee 27 Tareekh mein hua fir waha'n se zaroorat k mutabiq thoda-thoda Nazil hota raha.
Ref ( Khazin 872 , Roohul Bayan , 4 , page 681 )
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments