Hazrat Yaqoob aur Hazrat Yoosuf Alaihis salam - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Hazrat Yaqoob aur Hazrat Yoosuf Alaihis salam


HAZRAT YAQOOB AUR HAZRAT YOOSUF ALAIHIS SALAM 

Part:-05


Naujawan Yoosuf Alaihis'salam 


Hazrat Yoosuf Alaihis'salam jawani ko pahunche tou Allah ta'ala ne unko ilm, hikmat , Sabr, tahammul aur pakbazee wagairah harek khoobi ata kee Zulaikha Razi'allahu ta'ala anha Hazrat Yoosuf Alaihis'salam k Husn w Jamal par fida thi Hazrat Yoosuf Alaihis'salam ko jab iska Andaza hua tou usse kinarakashi ikhtiyar kartey rahe Yoon Zulaikha khud bhi nihayat Haseen-Jameel thi 

Ek baar daee ne Zulaikha se uski khairat poochi tou usne apni aajizi ,  pareshani aur Yoosuf Alaihis'salam kee beparwahi ka zikr kiya usne nihayat hairat se kaha -

"Tamam shahar tujhe ek jhalak dekhne kee aarzoo rakhta hai aur Yoosuf Alaihis'salam tujhse kinarakashi ikhtiyar karta hai" Zulaikha ek roz ek khas mahal mein takht par Baithi mahal mein tamam aish-o-aram k saman muhaiya they usne Yoosuf Alaihis'salam ko kisi bahane se talab kiya aur Yoosuf Alaihis'salam kee taraf nihayat beqarari se badi Hazrat Yoosuf Alaihis'salam ne kaha-

Azeeze Misr mera sarparast aur mohasin hai mujhse yah khayalat nahi'n ho sakti-
Zulaikha Razi'allahu ta'ala anha ne koie uzr na suna aur Saaf taur par apna ISHQ jaane lagi aur kaha-
'Agar too meri Aarzoo poori karega tou main apne tamam saman aur zaro-jawaharat khairat kar doongi taki tere gunah ka kaffara ho sake khuda tera gunah maaf kar dega" yah bahas-mubahasa chalta raha Zulaikha Razi'allahu ta'ala anha  ne tou Yoosuf Alaihis'salam ka irada kar hee liya tha, Hazrat Yoosuf Alaihis'salam k dil mein bhi Zulaikha k liye kuch khyal paida hua, lekin jiski hifazat Khuda kare us par Nafs aur shaitan ka galba nahin ho sakta 

Hazrat Yoosuf Alaihis'salam khudaee burhan aur Daleel kee wajah se buraee se bache rahe aur Zulaikha se hath chuka kar kamre se bhag liye Zulaikha Razi'allahu ta'ala anha  betabana peeche daudi aur Yoosuf Alaihis'salam kee qameez peeche se pakad kar khicha qameez peeche se fat gaee aur Hazrat Yoosuf Alaihis'salam darwaze se bahar nikal gae peeche-peeche Zulaikha Razi'allahu ta'ala anha bhi bahar Aaee bahar nikalte hee dekha ki Azeeze Misr samne khada hai.

Hazrat Yoosuf Alaihis'salam tou khamosh rahe, lekin Zulaikha ne apni khiffat mitane k lie kaha 'us shakhs kee kya saza hai jo tere ghar buraee ka irada kare?

'Aise Shakhs Ko Kya Saza Milni Chahiye ? '

Hazrat Yoosuf Alaihis'salam ne kaha, "Main begunah hoon isi ne mujh par Dore dalne chahi is mauqe par Allah ta'ala ka khas karam hua" ek bacche ne Hazrat Yoosuf Alaihis'salam kee sacchi aur pakbazee kee gawahi dee us bacche ne kaha-
"Agar qameez peeche se fati hai tou Zulaikha Razi'allahu ta'ala anha jhoothi aur Yoosuf Alaihis'salam sacche hain aur Agar qameez samne se fati hai tou Zulaikha sacchi aur Yoosuf Alaihis'salam jhoote hain" Dekha gaya tou qameez peeche se fati thi is tarah Hazrat Yoosuf Alaihis'salam kee parhezgari aur Zulaikha Razi'allahu ta'ala anha ka qusoor zahir hua Azeez Misr ne Hazrat Yoosuf Alaihis'salam se kaha ki-

'Wah darguzar se kaam le' usne pasand kiya ki logon mein yah waqi'aa mashoor ho Azeeze Misr ne Zulaikha Razi'allahu ta'ala anha  se kaha, 'too apne gunahon kee mafi maang ' koshish k bawajood baat chip na saki sahi hai, ishaq aur Mushk chipe nahi'n rah saktey...

Ref ( Qanssul Anbiya )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.