Ikhteyar E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Ikhteyar E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam

Ikhteyar E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam 


Hadees No 06


Hazrat Abu Huraira Razi'allahu ta'ala anhu se marwi hai ki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki main qyamat k din sare insaanon ka sardar hoonga 

Ref ( Bukhari Safah 470, Muslim Jild 1 , Safah 111 )

☆ Is Hadees se maloom hua ki Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee hookoomat w badshahat w sardari aur saltanat sirf duniya mein hee nahin balki qayamat k din bhi aap hee ka sikka chalega Isee liye aap ko sarkar e do Aalam aur Sarkare kaunain kaha jata hai

Hadees No 07


Hazrat Ans se marwi hai ki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya baroz qyamat sab se pahle main nikaloonga jab log wafd banenge tou main aage honga jab log khamosh honge tou main hee khitab karoonga jab log roke jayenge tou main in kee shafa'at karoonga jab log mayoos honge tou main inhe khuskhabri sunaoonga ijazat dena mere ikhtiyar mein hoga aur khair kee sari kunjiyan mere hath mein hongi.

Ref ( Mishkat , Safah 514 )

☆ Is Hadees mein Huzoor ka yah Farmana ki ijazat w karamat kee sari kunjiyan mere hath mein hongi bata raha hai ki aap baroze qyamat mukhtare kul honge aur aap ko sare Ikhtiyarat hasil honge kyonki kunjiyan mukhtar k pas hoti hain majboor k pas nahi.

Hadees No 08


Hazrat Abdullah Ibne Ateek farmatey hain ki fir maine Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam se ( Abu Rafe Yahoodi  ko Katl karne aur pair tootne "Fracture" ka kissa bayan kiya ) tou Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya apna toota "Fracture" hua pair bichao tou Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne is par hat fera tou wah jaisa pahle tha bilkul Waisa hee ho gaya jaisa isme kabhi kuch kami Aaee hee na thi..

Ref ( Bukhari Jild , 2 Safah . 577 ,  Mishkat , Safah 532 


Hadees No 09


Hazrat Jabir farmatey hain ki mere walid Faut ho gaye aur in k oopar karz tha tou maine Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee khidmat mein hazir ho kar arz kee ki mere walid ne karza choda hai aur mere pas dene k lie siwa khuzooron k darakhton k kuch nahi'n hai aur in kee paidawar se kaee saal mein bhi karz poora na hoga aap mere sath tashreef le chale taki karz khwah sakti w badgoee se pesh na aaye fir Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam khuzooron k der k ird fire fir dua kee aur doosre der k gird fire fir aap ek deri par baith gaye aur farmaya karz khwahon ko aap kar dete jao yahan tak ki sab karz khwahon ka sara karz Ada ho gaya aur uni hee khujoore Bach bhi gaee..

Ref ( Bukhari Safah 506 , 580 , 322 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen









No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.