SEERAT E GHOUS E AZAM - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

SEERAT E GHOUS E AZAM

SEERAT E GHOUS E AZAM



PART:-12

Zalim Qazee Ko Hukman Ma'azool Karna:


Khaleefatul-Muqtanafi Le'amrillah ne jab Abul-wafa Yahiya ibne Saeed ko jo ibn-mazahimuzzalim k naam se mashoor tha ohad-e-qaza par mamoor kiya tou Hazrat Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu ne Mimbar par jalwa afroz ho kar khaleefa ko farmaya tumne ek bahut bade zalim shakhs ko mansabe qaza par muqarrar kiya hai tum kal parwardigare Aalam kee bargah mein jo nihayat hee meharban hai kya jawab doge!  khaleefa aapka yah wa'az sun kar kanp utha aur rone laga neez usi waqt Abul-wafa Yahiya bin Saeed ko ohad-e-qaza se ma'azool kar diya.

Ref ( Qalaidul-jawahir Safa 6 )

Thailee Se Khoon Nikalna :


Shaikh Abul-Abbas Al-khizr Husain Al-Moosali Alaihirrahma farmatey hain ki ek raat hum kaee log Hazrat Ghousussqlain Razi'allahu ta'ala anhu k madarsa mein hazir they ki khaleefa Al-Mustanjid Billah Al-Muzaffar Yoosuf Bin Khaleefa Al-Muqtafi Le'amrillah aapki khidmat mein hazir hua aur salam arz karne k baad aapke samne mu'addab tareeq se baith gaya khaleefa aapki khidmat mein wa'az w naseehat hasil karne kee garaz se hazir hua aur sath das 10 adad thailiyan jo roopayon se bhar poor thi'n laya aapki khidmat mein unka nazrana pesh kiya aapne qabool karne se inkar farma diya khaleefa ne bahut zyada israr kiya 

Tou aapne bahut zyada israr karne kee bina par un mein se do thailiyan jo umda thi'n utha lee ek ko den hath mein doosriko baen hath mein pakad kar nichoda tou un thiliyon se khoon tapakane laga aapne khaleefa ko farmaya tum khud ta'ala se nahin darte ki logon ka khoon nichod kar us maal ko mere paas lae ho khaleefa yah sun kar behosh ho gaya aapne irshad farmaya agar mujhe khaleefa k Aale Rasool pak Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam se hone kee izzat w hurmat madde nazar na hoti tou main us khoon ko uske mahallat tak baha deta.

Ref ( Bahajatul-Asraar safah , 62, Qalaidul-jawahir Safah . 30, Nuzhatul-khatir Al-Fatir , Safah. 57 , Safeenatul-auliya Safah . 64 )

☆Khaleefa waqt Huzoor keeMajlis mein hazir hota tou aapke mubarak hathon ko bosa deta aur adab se dast Basta aapke samne baith jata agar aap khaleef-e-waqtko kabhi tahreer likhte tou is andaz se likhtey jaise badshah matahat ko farman jari karta hai khaleefa aapki tahreer ko dekhta aur choom kar aankhon aur sar par rakhta aur zubane haal se kahta ki Hazrat ka farman Bilkul duroost hai...

Ref ( Qalaidul-jawahir Safah . 19, 20, Bahajatul-Asraar safah , 86, Mahafil Naama gyarahavi Shareef Safah, 52, Safeenatul-auliya Safah . 65, Tohafa Qadariya , Safah . 17 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.