ILM E GHAIB - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

ILM E GHAIB


ILM E GHAIB 

HADEES NO 08

Hazrat Asma Binte Abee Bakr Razi'allahu ta'ala anha farmati hain ki jab wah Makka Mu'ajzama mein thi'n tou Abdullah Ibne Zubair unke pet mein they aur jab main ne Hizrat kee tou din poore ho chuke they fir jab main Madeena munawwara pahunch gaee aur kuba mein thahari tou kuba mein unki paidaish ho gaee fir main unko lekar Huzoor kee khidmat mein hazir ho gaee aur unhe Huzoor kee God mein diya Huzoor ne Khujoor mangwaee aur wah Abdullah Ibne Zubair k munh mein chaba kar rakh dee tou sab se pahli cheez jo unke munh mein gaee wah Huzoor ka lu'aabe dahan hai..

Ref ( Bukhari Jild , 2 , Safah . 822 )

☆ Yani Hazrat Asma'a k Nazdeek Huzoor ka Mubarak thook baise khair w barkat tha aur nihayat mutabarak tha iseeliye wah is baat par khush hoti aur fakhriya bayan farmati ki mere bacche k munh mein sab se pahli cheez jo dakhil huee wah Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ka Mubarak thook tha..

HADEES NO 09


Hazrat Zaber Razi'allahu ta'ala anhu kahtey hain ki main Beemar ho gaya tou Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam meri Ayadat k liye tashreef laye they aur Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu Aap k sath they aur dono'n paidal tashreef laye they fir Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne WUZU farmaya aur apne WUZU ka pani mere oopar dal diya tou main bilkul theek ho gaya..

Ref ( Bukhari Jild , 2 Safah . 1087 )

HADEES NO 10


Hazrat Miswar ibne Makhramah ( Sulah Hudaibiya ) kee Hadees bayan kartey hue farmatey hain ki urwa Huzoor k Ashab ko gaur se dekhne lage unhone dekha ki jab bhi Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam thookna ya khankharna farmatey tou aap k thook aur khankhar bajaye zameen par girne k kisi na kisi sahabi k hath mein girta aur wah usko hath mein lekar apne chehre aur jism par mal leta jab aap kisi baat ka hukm detey tou fauran uski tameel ki jati aur jab wuju farmatey tou log aap k dhoban ko lene k liye toot padtey aur har ek kee yah koshish hoti ki yah pani mujh ko mil jaye 

Aur jab log aap se guftagu farmatey tou nihayat dheere dheere past aawaz se aur aap kee itni tazeem kartey ki aap kee tarah nazar jama dekhtey bhi nahi'n uske baad urwa ne apne sathiyon mein aa kar kaha "Ae kaum main Wallah Badshahon k darbaron mein wafd le kar gaya hoon main kaisar w kisra aur najjashi k darbar mein gaya hoon magar khuda kee kasam main ne koie Badshah Aisa na dekha ki uske sathi uski tazeem itni kartey ho jaise ki Mohammad k sathi unki tazeem kartey hai

Khuda kee kasam jab wah thookte hain tou unka thook w khankhar kisi na kisi k hath mein gir jata hai jise wah apne chehre aur badan par mal leta hai jab wah hukm detey hain tou fauran unke hukm kee tameel kee jati hai aur jab wah wuju farmatey hain tou unke WUZU k dhowan k lie aise daudte hai jaise wah uske hasil karne k liye ek doosre se ladne ko aamada ho jayenge aur apni aawazon ko unki bargah mein neechi rakhte hai aur itni zyada tazeem kartey hai ki nazar jama kar dekhtey tak nahin...

Ref ( Bukhari Jild , 1 , Safah . 379 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.