ILM E GHAIB
ILM E GHAIB E MUSTAFA
HADEES NO:-11
Hazrat Ans se Marwi hai ki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam jab fajr kee Namaz padh kar farigh hote tou Madeene k khadim aap kee khidmat mein bartan lekar hazir ho jatey aap in bartanon mein ( Barkat Ata farmane k lie ) apne hath daal dete kabhi kabhi sakht sardi mein bhi aap in par karam farmatey hue apna hath pani mein daal dete
Ref ( Muslim Jild , 2 Safah . 256 , Mishkat , Safah . 519 )
HADEES NO:-12
Hazrat Esa Ibne tuhamaan se riwayat hai ki inhe Hazrat Ans Razi'allahu ta'ala anhu ne do 2 purane jootey dikhaye jinme se har ek mein do tame the Hazrat Ans Razi'allahu ta'ala anhu ne farmaya tha ki yah Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee Mubarak jootiya'n hai...
Ref ( Bukhari Jild , 2 Safah . 438 )
HADEES NO:-13
Yaha'n imaam Bukhari ne apni Saheeh Bukhari mein Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam se nisbat rakhne wali cheezon mein aapke Paani peene k pyale , aap kee Mubarak chadar , aap kee talwaar , Angoothi se muta'alliq Ahadees bhi nakal kee hain Jin ko sahaba kiraam ne apne paas bataure tabarrook rakh liya tha khud imaam Bukhari ka Aqeeda bhi yahee tha Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam se jis cheez ko ta'alluk ho jaye wah baise barkat hai aur usse faiz hasil Karna jaiz hai iseeliye in sab cheezon se muta'alliq baab aur unwaan ko unhone in Alfaz mein zikr kya jo Bukhari k baaz nuskhon mein hai ki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee zirah , lathi , Talwaar , pyala , Angoothi , BaaL, Joote , aur bartanon ka zikr jin se sahaba kiram barkat hasil karte aur unhe mutabarak jaante they...
Ref ( Saheeh Bukhari )
HADEES NO:-14
Hazrat Jabir ibne Abdullah Razi'allahu ta'ala anhu se marwi hai ki maine Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam k sath dekha ki asar ka waqt ho gaya lekin zara se bache hue Paani k siwa kuch na tha jo ek bartan mein jama kar k Huzoor kee khidmat mein pesh kar diya gaya Huzoor ne apna Mubarak hath usme daal diya aur ungaliyan faila dee'n aur farmaya wuzoo karne wale aaye aur Allah Az'wazal kee barkat se fayada uthaye Jabir Razi'allahu ta'ala anhu kahte hain ki maine dekha Paani aap kee ungaliyon se foot-foot kar nikal raha hai fir logon ne WUZU kya aur Paani piya aur maine apna pet bharne mein koie kotahi nahin kee khoob pet bhar kar piya kyonki mere Aqeede mein wah Paani barkat wala tha rawi kahte hain ki maine Hazrat Jabir Razi'allahu ta'ala anhu se poocha ki is waqt Aap kitne log the farmaya 1400 Sao
Ref ( Bukhari Jild , 2 Safah . 842 )
☆Is Hadees se maloom hua ki Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam se be panah Mohabbat aur aap ko baise barkat janna aur aap kee har ada qurban rahna yahee Sahaba kee jindagi thi...
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments