Jannat ka bayan - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Jannat ka bayan


JANNAT KA BAYAN 

PART:-01

Jannat ek makan hai jise Allah ta'ala ne iman walon k liye banaya hai usmein aisi aisi nematen rakhi gaee hai jinko na Annkhon ne dekha na kanon ne suna aur na koie un nematon ka gumaan kar sakta hai yani be dekhe warna dekh kar tou aap hee janenge , tou jinhone duniyavi Hayaat kee halat mein mushahada kiya wah in hukm se alag hain khas Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam isliye jannat kee koie Misaal dee hee nahin ja sakti kyonki Ka'aba Shareef Jannat se Ala hai aur Huzur E Anwar Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee turbat tou Ka'aba balki arsh se bhi Afzal hai magar yah duniya kee cheeze nahin ha'n jinhone Allah ta'ala k karam se apni duniyavi zindagi mein Jannat ko dekha hai wah jantey hain ki Jannat mein kya cheezen hain aur usmein kitna aaram hai 

Jannat kee koie Aurat agar zameen kee taraf dekh le tou zameen se Aasman tak raushan ho jaye, chand suraj kee raushni mand pad jaye aur poori duniya uski khushboo se bhar jaye , ek Riwayat mein yah bhi hain ki agar hoor apni hatheli zameen aur aasman k beech nikale tou sirf hatheli kee khubsoorati ko dekh kar log fitne mein pad jayenge agar jannat kee koie Zarra Barabar Bhi cheez duniya mein aa jaye tou aasman zameen sab mein sajawat paida ho jaye, jannati ka kangan chand sooraj aur taron ko maand kar de Jannat kee thodi see jagah jis mein kooda rakh sake wah poori duniya se behtar hai jannat kee lambaee chaudai k bare mein kisi ko kuch pata nahin Allah aur uske Rasool zyada accha jantey hain.

Mukhtar yah hai ki Jannat mein Sao 100, darje hain ek darje se doosre darje mein itni doori hai ki jaise zameen se Aasman tak ( Tirmizi  Shareef ) kee ek Hadees ka matlab yah hai ki Jannat k ek darje mein agar sara Aalam sama jaye tou fir bhi jagah baqee rahegi Jannat mein ek itna bada ped hai ki agar uske saye mein koie 100, saal tak tez ghode se chalta rahe fir bhi wah saya khatm na hoga, Jannat k darwazon kee chaudai itni hogi ki uske ek sire se doosre sire tak tez ghode se 70, saal ka rasta hoga fir bhi Jannat mein jane wale itne zyada honge ki monde se monda chilta hoga balki bhi se darwaza charcharane lagega 

Jannat mein tarah tarah k saaf suthare aise mahal honge ki Andar kee cheeze bahar se aur bahar kee cheeze andar se dikhaee Degi  jannat kee deeware sone chandi kee eton aur mushk k Gare se bani hain zameen zafraan kee hogi kankariyon kee jagah moti aur yakoot honge ek riwayat mein yah bhi hai ki jannat adan kee ek et safed moti kee, ek laal yakoot kee aur ek hare zabarjad kee aur mushk ka gaara hai ghas kee jagah zafraan aur Ambar kee mitti hai jannat mein ek moti ka kehta hoga jiski oonchaee 60, meel kee hogi....

Ref ( Bahar E Sharee'at )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen









No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.