KYA QURAN KI AAYAT O HADEES KO DELETE KAR SAKTE HAI MOBILE SE - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

KYA QURAN KI AAYAT O HADEES KO DELETE KAR SAKTE HAI MOBILE SE



KYA QURAN KI AAYAT O HADEES KO DELETE KAR SAKTE HAI MOBILE SE


KYA QURAN KI AAYAT O HADEES KO DELETE KAR SAKTE HAI MOBILE SE

Aap mein se kayi log shayad is wahem mein honge ki hameto QURAN ki AAYAT aur HADEESE msg me aati hai
Magar msg inbox full ho jata hai to use DELETE karni padti hai
ab kya kare QAYAMAT ki nishani hai ki log apne hatho se QURAN mitayenge

☆Al JAWAB:

AWWAL tou ye JAWAB de du ki QURAN ki AAYAT agar SMS me aajaye to aap use DELETE kar sakte hai

WAJAH No 1 
hamare PYARE AAQA ﷺ ke duar jab WAHI nazil hoti tou waha par maujud SAHABA paththar par ya mitti par ya darakhto ke patto par AAYAT likh liya kartey they
sochiye ki us daur me se hi paththar mitti par AAYAT likhi jati aur baad me wahi se kisi sakht chizpar wapas likh kar us pathathar ya mitti par likhi huwi AAYAT ko mita di jati thi. 
tou ye AAYAT ka mitna to us daur se hi chalu tha aaj se nahi.

 WAJAH No 2
us daur mein aur hamare aaj ke MADARSE aur DAROOL ULOOM aur madraso mein aaj bhi black board par bachcho ko QURAN ki AAYAT aur HADEESE likha kar sikhai jati hai 
phir naya chapter par aane ke liye us likhe huwe ko mitaya jata hai to ye mitane ka silsila bhi isi tarah barso se chalta aa raha hai

Ab Asal baat ye ki Jiski Hifazat ALLAH TA'ALA Karay usey Koi Nahi Mita Sakta..

QURA'N-E-KAREEM mein ALLAH TA'ALA  irshad farmata hai"
BESHAK Humne Utara Hai Yeh QURAN Aur Beshak Hum Khud Is Ke NIGEHBAAN”

Ref [ Surah Al Hijr, Aayat 9, Parah 14 ]

☆TARJUMA Kanzul Imaan Ab socho ki jiski HIFAZAT mera RAB kare kya use koi mita sakta hai to phir ye jahil kyun aise SMS phaila rahe hai ki QUR’AN ki Aayate aur HADEES na send kare 
Woh isliye ki ye badi SHAZISH hai,kyunki jab se MEDIA aur SOCIAL NETWORK aur Mobile jaisi chize hamare bich aayi hai tab se ISLAM keliye kaam karna hamare liye bada aasan ho gaya hai to kuch ISLAM ke dushman ye nahi chahte ki ISLAM ka iskezariye bol bala ho

isliye AAYATE aur HADEESO ke galat matlab nikal kar phaila dete hai
unka kaam aise galat msg ko phelana hai ki QURAN ki AAYATO ke msg na kare woh delete ho jate hai
aur QAYAMAT ki nishani hai ki log apne hathon se use mitayenge Bas unka kaam is msg ko send karna hai, uskebaad log use parh kar is msg ko phelana shuru kar dete hai
aur dekhte hi dekhte sab jagah woh msg pheil jata hai aur log QURAN ki AATAYO ko send karna band kar dete hai aur is se un SAZISHKARO ki SHAZISH kamyab ho jati hai

Ab aate hai asl QAYAMAT ki nishani par kya kehti hai QAYAMAT Ki Nishani mein LAFZ Mitna Nahi,Balky ILM Ka Uth jana likha hai yani ki ILM utha liya jayega. 
Ye nahi likha ki log apne hathon se mita dengeTou pata chala ki aap QURAN ki AAYAT ya HADEES msg me ho to use delete bhi kar sakte hai
Aur iske dar se ki DELETE karna padega isliye use SEND na kare to ye bhi dar ab nikal gaya Yani ab aap jo bhi achche QURANI AAYAT ya HADEES mile to use zarur aage FORWARD kare,
Agar msg box full ho jaye tou DELETE karna pade tou DELETE bhi kare
JO LOG KEHTE HE KI HAME QURAN KI AAYAT MAT BHEJO IS KO MITANA QAYAMAT KI ALAMATHE US KA JAWAB JARUR PADHE
OR LOGO TAK FWD KARE...



♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

VISIT US : www.zikr-e-nabi.com

VISIT US : www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.