Azaan aur Iqamat ke darmiyaan mangi jane wali dua rad nahi hoti. - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Azaan aur Iqamat ke darmiyaan mangi jane wali dua rad nahi hoti.

HADEES SHARIF 


NABI E KAREEM (صلی اللہ علیہ وسلم) ne irshaad farmaya Azaan aur Iqamat ke darmiyaan mangi jane wali dua rad nahi hoti.


Ref (Jame Tirmizi,Hadith No:212)

NABI E AKRAM (صلی اللہ علیہ وسلم) ne irshaad farmaya Jis shakhs ne bimaar ki iyadat ki wo hamesha qurfa e jannat me rahega Arz kiya gaya YA RASOOLALLAH (صلی اللہ علیہ وسلم) ! qurfa jannat se kya muraad hai Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) ne irshaad farmaya Jannat ka Baagh..

Ref (Sahih Muslim,Hadith No:2568)

Hazrath Imaam Hasan bin Ali raziallahu taala anhuma farmate hain NABI E KAREEM (صلی اللہ علیہ وسلم)
 ka Chehra e Anwar choudhwi ke chand ki tarah chamakta hain...

Ref (Shamail e Tirmizi,pg:2)

Khushnaseeb hai wo shakhs jo HUZOOR (صلی اللہ علیہ وسلم) par Duroodbbhaijhta hai,
Us par ALLAH TAALA aur HUZOOR (صلی اللہ علیہ وسلم) aur Farishtou Rahmat bhaijhte hain,
_Gunahou ka kaffara banjate hain Aamal pakiza hojate hain Darajaat baland hote hain.


 SABAK


Aye logo ! Yaqinan tumhare paas tumhare RAB ki janib se ek Roushan daleel aachukhi aur hum ne tumhari taraf ek darakhshan NOOR utara hai.

Ref (Surah Al Nisa:174)

Jab insaan ki Aankhon se nadamat ke aanso behte hain to us par Rab ki Rehmat barasti hai.
Din ki Roushni me Rizq talash karo aur Raat ko Rizq dene wale ko talash karo.
(Hazrath Sheik Saadi rahmatullah alaih)

Har ek par shafaqqat karo, kisi ko kam mat samjho.


(Hazrath khaja abdul khaliq rahmatullah alaih)

Allah Most High does not see your faces and your wealth, but sees your hearts and your deeds.

Ref (Sahih Muslim, Hadith No. 2564)

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.