HUZOOR KI SHUKR GUZAARI
HUZOOR KI SHUKR GUZAARI
HADEES SHARIF
Hazrat-A-Ata Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Se Marwi Hain Ki Hamne Hazrat Aayesha Radi-Allahu-Ta'aala-Anha Ki Khidmat May Haazir Hoker Arz Ki, Ki Aap Hame Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Koi Ajib Baat Sunayen, Hazrat Aayesha Radi-Allahu-Ta'aala-Anha Askbaar Hogayi Aur Farmaya, Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Kaunsi Ajib Baat Nahi Thi, Suno! Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ek Raat Tashrif Laye Aur Mere Bister Ya Mere Lihaaf May Mere Sath Let Gaye, Yahan Tak Ki Aapka Jism-A-Ather Mere Jism Se Mas Hone Laga! Tab Aapne Farmaya, Aye Abu-Bakr Ki Beti! Mujhe Ijazat Do Taaki Main Rab Ki Ibadat Karoon! Maine Arz Kiya Agarche Main Aapke Qurb Ko Be-Inteha Pasand Karti Hoon Magar Aapki Khwaish Ko Tarjih Deti Hoon, Lihaza Main Aapko Ijazat Deti Hoon Aap Zaroor Ibadat Farmayen!
Aap Uthker Pani Ke Mashkiza Ki Taraf Gaye Aur Thode Se Pani Se Wazu Farmaker Aapne Namaz Shuru Kerdi Aur Aap Rone Lage Yahan Tak Ki Aap Ke Aansu Seene Per Behne Lage, Fir Aap Ruku May, Sazda May Aur Sazda Se Sir Uthaker Bhi Rote Rahe Yahan Tak Ki Hazrat Bilaal Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Haazir Hoker Namaz-A-Fazr Ke Mutaallik Arz Kiya! Maine Pucha Aap To Bakshe Hue Hain, Aap Kis Liye Rote Hain? Aapne Farmaya, Kya Main ALLAH Ka Shukr-Guzaar Banda Na Banoo? Aur Main Kyon Na Ro-oun Halaaki ALLAH Ne Yeh Aayat Naazil Farmayi Hain!
"Be-Shak Aasmaano Aur Zameen Ki Paidayish Aur Raat Aur Din Ki Ba-Ham Badliyon May Nishaniyan Hain Akalmandon Keliye!
Ref (Mukashfatul Kulub, Pg-274-75)
No comments