Khauf e khuda - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Khauf e khuda

KHAUF E KHUDA

Khauf e khuda ki barkat se ghunahgar jannat ka haqdar ho gaya 

Aye imaan walon ! Aalim e rabbani , hujjatul islam   Hazrat imaam ghazali razi Allah anho ne ek waqiyah naqal kiya hai

 ke ek naujawan ek aurat ki mohabbat me mubtala ho gaya wah aurat ek qaflah ke sath ek safar par rawana huee jawan Aashiqu ko jab ma'aloom hua to wah bhi qafla ke sath chal pada ,

 jab qafla jangal me pahuncha to raat ho gaee thi , qafla jangal me thahar gaya aur sab log thake mande the sab so gai , to wah naujawan chupke se us aurat ke pàas bahuncha aur kahne laga mai tujh se mohabbat karta hun aur teri mohabbat ke sabab hi mai qafla ke sath Aaya hun -

aurat ne kaha : jakar dekh lo koi jaag to nahi raha hai ? Jawaan bada khush hua aur sare qafla ka chakkar lagayaa aur wapas Aakar kahne laga ke sab log gafil pade so rahe hain - aurat ne puchha :

Allah ta'ala ke bare me tera kiya khayal hai ? Kiya wah bhi so raha hai ? Jawan bola : Allah ta'ala to na kabhi sota hai , aur na hi use ungh Aati hai - tab aurat boli : log so gaye to kiya hua , Allah ta'ala to jaag raha hai aur hame dekh raha hai aur usi se ham ko darna chahiye - jawan ne jab ye baat suni to khaufe khuda se laraz gaya aur bure iradeh se tobah kar ke ghar wapas chala gaya -

kahte hain ke jab usi jawan ka inteqal hua to kisi ne khawab me dekh kar us se puchha : kaise ghuzri ? Naujawan ne jawab diya maine Allah ta'ala ke khauf se ek ghunah ko chhoda tha to Allah ta'ala ne usi sabab mere tamam ghunahon ko bakhsh diya 

Ref ( Makashefa tul qoloob , page : 6 }

NEXT POST INSHA ALLAH SOON

PLZ SHARE TO OTHERS ALSO

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.