Gaib ki baton par iman - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Gaib ki baton par iman

GAIB KI BATON PAR IMAN

Allah ta'ala ka irsaad hai'n: hamare paas har cheez ke khazane ke khazane bhare pade hai'n, magar fir hum hikmat se har cheez ko aik mueyan miqdaar se utarte rahte hai'n

Ref { Sursh hajar : 21 }

Allah ta'ala ka irsaad hai'n: kiya ye log kafiron ke paas izzat talaash kartey hai'n, tou yaad rakhe ki izzat tou saari kee saari Allah ta'ala ke qabze mein hain

Ref { Surah nisa : 139 }

Allah ta'ala ka irsaad hai'n: aur kitne hee janwar aise hai'n jo apni Rozee jama karke nahi rakhte Allah ta'ala hee unko bhi unke miqdaar kee Rozee pahunchata hai'n aur tumhein bhi, aur wahi sabki sunta hai'n aur sabko janta hai'n

Ref { Surah ankaboot : 60 }

Allah ta'ala ne apne rasool sallallahu alaihi wasallam se irshad farmaya:
aap unse farmaiye ki zara yah tou batao agar tumhari bad'amli par allah ta'ala tumhare sunne aur dekhne kee salahiyat tum se cheen le aur tumhare dilo par muhar laga de ( ki fir kisee baat ko samajh na sako ) tou kiya Allah ta'ala ke siwa koie aur zaat is kayanat mein hain jo tum ko ye cheeze dobara lauta de aap dekhie tou hum kis tarah mukhtalif pahalio se nishaniyan byaan karte hain fir bhi ye log be-rookhi karte hain

Ref { Surah An'aam :46 }

Allah ta'ala ne apne rasool sallallahu alaihi wasallam se irshad farmaya:
Aap unse poochiye bhala yah tou batao ki agar Allah ta'ala tum par hamesha qiyamat ke din tak raat hee rahne de, tou Allah ta'ala ke siwa wah ksun-saa mabood hai'n j tumhare liye raushni le aae kiya tum sunte nahi?
aap unse yah bhi poochiye ki yah tou batao agar Allah ta'ala tum par hamesha qiyamat ke din tak din hee rahne de tou Allah ta'ala ke siwa wah ksun-saa mabood hai'n jo tumhare liye raat le ase taki tum usme aaram karo kiya tum dekhte nahi?

Ref { Surah, qasas : 72-72 }

next post insha Allah soon

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.