Karamat e sahaba
KARAMAT E SAHABA
HAZRAT ABOO BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU
KARAMAT
NIGAHE KARAMAT:
Mashhoor sahabi Hzrate abdullah ibne masood razi'allahu ta'ana anhu aam taur par yah farmaya kartey they ki mere nazdeek teen log aise guzre hai'n jo aqal wa samajh ke bahut oonche makam par they
Pahla: Ameerool Momineen hazrate aboo bakr siddique razi'Allahu ta'ana anhu ki un kee nigahe karamat kee noori samajh ne hazrate umar razi'allahu ta'ana anhu ke kamalat ko taad liya aur aapne hazrate umar ko apne baad khilafat ke liye chuna jis ko tamam duniya ke tareekh likhne wale aur danishwaro ne behtareen qarar diya
Dusra: hazrate moosa Alaihissalam kee Biwi hazrate safoora razi'allahu ta'ana anha ki unhone hazrate moosa Alaihissalam ke roshan mustaqbal ko apni ssmajh se bhanp liya aur apne walid Hazrat shuaib Alaihissalam se arz kiya ki aap is jawan ko bataur majdoor apney ghar par rakh le jab ki intihai parishani ke aalam mein fir'aun ke julm se bachne ke liye hazrate moosa Alaihissalam akele hijrat karke misr se "madyan" pahunch gae the chunanche Hazrat shuaib Alaihissalam ne un ko apne ghar par rakh liya aur un kee khoobiyon ko dekh kar sur un ke kamalat se mut'assir hokar apni beti Hazrat beebee safoora ka un se nikah kar diya aur un ke baad khudawande kuddoos ne Hazrate moosa Alaihissalam ko nuboowat wa risalat ke shart se sarfaraz farma diya
Tisra: misr ke badshah ki unhone apni biwi hazrate julekha ko hukm diya ki agarche hazrate yusuf Alaihissalam hamare khareede gulam ban kar hamare ghar me aae hai magar khabardar ! Tum un kee izzat wa ikraam ka khas taur par ahtamam wa intazam rakhna kiyonki azeeze misr ne apni nigahe farasat "samajh" se hazrat yusuf Alaihissalam ke shandar mustaqbil ko samjh liya tha ki goya aaj gulam hai'n magar yah aik din misr ke badshah honge..
Ref { Khifa maqsad namber 2, safa 33 }
KALMAE TAIYABA SE QILA CHOOR CHOOR:
Ameerool Momineen hazrate aboo bakr siddique razi'allahu ta'ana anhu ne apne daur khilafat me qaisare room "room ka badshah" se jang ke liye mujshideene islam ki aik fauz rawana farmaee aur hazrate aboo ubaida razi'allahu ta'ana anha ko us fauz ka kamandar muqarrar farmaya yah islami fauz qaisare room kee lashkari taqat ke muqable me zero ke barabar thi magar jab us fauz ne roomi qila ka gherav kiya aur لا الہ الا الله محمد رسول الله ka na'ara mara tou kalamae taiyaba ki aawaz se qaisare room ke qila me aisa zalzala aa gaya ki poora qila choor-choor hokar us kee et se et baj gaee aur aik hi lamhe me qila fatah ho gaya bila shubha yah Ameerool Momineen hazrate aboo bakr siddique razi'allahu ta'ana anhu ki bahut hee shandar karamat hai kiyon ki aap ne apne daste mubarak se jhanda bandh kar aur fatah ki khushkhabri de kar us fauz ko jihad ke liye rawana farmaya tha.
Ref { Izalatul khifa maqsad namber 2, safa 40 }
next post insha Allah soon
plz share to others also
plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments