Shane ala hazrat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Shane ala hazrat

Ala Hazrat Imam Ahmad Fazil-e-Barailvi razi allaho ta'ala anho ki bai'at w khelafat aur ahteram niswat

Ala hazrat imam ahmad fazil-e-barailvi razi allaho ta'ala anho ki wiladat 10 ! sawaal 1272 hijri motabik 14 june 1856 iswi me huyi aur aap 1294 hijri mutadiq 1877 iswi me takqreeban 22 saal ki umar me umar sarif me aur aapke walid-e-majid hazrat maulana naqi ali khan razi allaho ta'ala anho maraherah sarif me huzur purnoor said shah ale rasool ahmadi razi allaho ta'ala anho ne aap dono hazrat ko khelafat nama ata farma kar khirqah mokadashah se bhi sarfaz farmaya. hazrat maulana said shah abul husain ahmad noori razi allaho ta'ala anho ne hazrat said shah ale rasool ahmadi razi allaho ta'ala anho se arz ki ke huzur ! aapke yaha ek tajeel zamana tak bamushakat mujah-e-daat w riyaazat karane ke baad khelafat w izazat di jati hai magar aapne in dono hazraat ko bai'at karte khelafat w riyazat bhi ata farmadi to hazrat murshide barhaq said shah ale rasool ahmadi razi allaho ta'ala anho ne farmaya miya shahab aur log jang aalud maila-kuchaila dil leker aate hai, uski safaayi aur pakizagi ke liye mujahidat tawila aur riyazat ki jarurat parti hai aur ye dono hazraat saaf-suthare aur pakizah dil leker hamare paas aaye, unko sirf niswat ki milne ki jarurat thi aur wo moreed hote hi haasil ho gayi. phir peer w mursheed ale rasool ahmadi razi allaho ta'ala anho ne farmaya ke mujhe is baat ki bahut bari fiqar rahti thi ke jab qayamat ke din Allah ta'ala puchega ae ale rasool ! tu mere liye duniya se kya laya hai to main bargahe ilahi me kaun sa cheej pesh karunga lekin aaj wo fiqar mere dil se dur ho gayi kyonke jab Allah ta'ala puchhega ale rasool duniya se tu mere liye kya laya ? to main arz karunga elahi tere liye ahmad raza laya hu.

Ref ( Sawahe ala hazrat, Page, 125-126 )

Ae iman walo ! ala hazrat imam ahmad raza fazil-e-barailvi razi allaho ta'ala anho kis shan ke muttaki w parhezgar, neq w saleh aur pak dil the ke peer w mursheed hazrat said shah ale rasool ahmadi razi allaho ta'ala anhoko apne pyare aur achchhe mureed ala hazrat imam ahmad raza razi allaho ta'ala anho par naaz tha aur ala hazrat imam ahmad raza fazil-e-barialvi razi allaho ta'ala anho is layak mureed the ke peer w mursheed aapko baroje qyamat Allah ta'ala ki bargah me pesh farmaye.
Hazrat is liye main kehta hu ki jab ale rasool ahmadi jaise khuda rasidah peer w mursheed ala hazrat imam ahmad raza jaise ab qari mureed par naaz karte nazar aate hai to hum gulaame raza, pyare raza, achchhe raza, kadari raza, barkari raza, imam ahmad raza par kyon na naaz kare.

Ala Hazrat Aur Peer Ki Gali Ka Ahteram 

Ala hazrat imam ahmad raza fazil-e-baraivi razi allaho ta'ala anho apne peer w musheed hazrat said shah ale rasool ahmadi razi allaho ta'ala anho ka kis kadar adab aur ahteram ata famate rahen honge. aap jab marehrah sarif hazir hote to mahrehrah sarif me juta-chappal nahi pahante the balake aap nange pair marehrah sarif ki raho par chalte. Allahu akbar ! jab peer w mursheed ke shahar ki galiyo ke raho ke adab ka ye aalam tha to peer w mursheed ke ahteram ka kya aalam raha hoga.

Ref ( Zikare Raza, Page 62 )

Hazraat ! jab peer w mursheed ke shehar ke galiyon ke rasto ka ye adab hai to jab ashique mustafa , huzur ala hazrat imam ahmad raza fazil-e-barialvi razi allaho ta'ala anho apne musfiq w mehraban nabi  ﷺ ke shehare pak madina tayibe ki galiyo se guzre honge to adab aur ahteram ka kya aalam raha hoga. Isiliye Ala hazrat imam ahmad raza fazil-e-baraivi razi allaho ta'ala anho farmate hai.
Harm ki zamin aur kadam rakh kar chalna 
Are sar ka mauqa hai Oh jane wale





♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com



No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.