Durood Sharif Ki fazilat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Durood Sharif Ki fazilat


DUROOD SHARIF KI FAZILAT 

Darudo Salam Ki Rehamate


قَالَ رَسُولُاللہِ عَلَیہِ وَسَلَّمَ مَنْ صَلّٰی عَلَیَّ صَلٰوۃََ وَاحِدَۃََ صَلَّی اللہُ عَلَیہِ عَشُرَا

ترجمہ : RasoolAllah ﷺ  ne faramaya jo mujh par ek martabah darud padhata hai Allah ta'ala us par 10 rahmate nazil farmata hai.

Ref  ( Muslim Shareef , Abu Daoowd , jilad, 1 Page, 214, Darami, jilad, 2, Page, 408 )

Ham Gareebo ke aqa pe behad durood
Ham Faqeero ke parwat pe lakho salam 

قَالَ رَسُولُ اللہِ صَلَّی اللہُ عَلَی وَسَلَّم مَن صَلّٰی عَلَیَّ صَلَاۃََ وَاحِدَۃَّ صَلَّی اللہُ عَلَیہِ عَشرَ صَلَوَاتِِ وَحُطَّت عَنہُ عَشرُ خَطِیَّاتِِ وَرُفِعَت لَہٗ عَشرُ دَرَجَاتِ 

Tarjamah : Rasool Allah ﷺ ne farmaya ek baar darood sharif padha Allah ta'ala us par 10 martabah rahamate nazil famata hai.aur uske 10 gunah maf kiye jate hai aur uske 10 darje buland hote hai.

Ref  ( Nesayi Shareef, jilad, 1 page, 145)

Hazraat maskurah hadish-e-karima se aapko andazah ho gaya hoga ke durood sharif ka padhana Allah ta'ala ki bargah-e-karam me kitna maqbul amal hai Allah ta'ala durood padhane walon ko itni neqeeya ata famata hai aur kitne darje buland farmata hai aur sabse khushi ki baat to ye hai ke qiyamat ke din wahi log Allah ta'ala ki rahamat ke saye me honge jo Allah ta'ala ke pyare mehboob mustafa kareem ﷺ ke karib honge aur bajme mehsar ke dulha aamana ke lal ﷺ ne apne karib hone ka nusakha bhi bata diya ki jo mera gulaam jitna jyada durood padhega utahana hi jyada mujhse kareeb hoga lehaza iman walon ! khushi manao aur apni kismat par naaz karo ke jin pyare rasool, mehboob-e-khuda ﷺ par khud Allah ta'ala hi durood bheje usi pyare habeeb ﷺ par hum siyah taro, gunah garo ko bhi durood w salam bhejne ki shahadat ata farmata hai.wahi sakas durood bhejega jise qiyamat ke roj rahmate aalam ﷺ ke kurbat barkar ho.
Rasool allah ﷺ  ne farmaya dawa bakhil wah sakas hai jiske samane mera jikar kiya jaye to wo mujh per durood na bheje.

Ref  (Tirmizi Sharif, Miskat Sharif, Page 87) 

Hazraat is hadees sharif me hamare sarkar rahmat wale nabi ﷺ ne us sakas ko bakhil w kanjus farmaya hai jo sarkare madina ﷺ ka jikar pak sune aur durood sharif ka nazarana pesh na kare aur mohabbat ka bhi yahi takaja hai ke jab jikare mustafa ﷺ sune ya name mustafa ﷺ sune to bakhile ka mojaherah na kare balake mohabbat se isaq w ulfat ke andaaz me khub khub durood w salam ka nazrana pesh kare. Sarkare madina ﷺ ka sakhi gulaam hone ka sabut de.
Sakhi Allah ta'ala ko dost hai agarche gunaahgar ho bakhil Allah ta'ala ka dusman hai agarche ibadat guzar ho
Hazrat abiddin ka'ab razi allaho ta'ala anho ne kaha ke maine arz kiya ya rasool allah aap par main bahut durood sharif padhata hu to kitna durood sharif padhana mukkarar kar lu to sarakare madina ne farmaya jitna chaho agar badha do to tumhare liye achchha hai mene kaha aadha farmaya jitna chaho agar badha do to tumhare liye achchha hai, maine kaha do tihayi farmaya jitna chaho, agar badha do to tumhare liye achchha hai. Maine kaha ke har waqat durood sharif padhunga farmaya ke tab to tumhare gamo ko kefaya karega aur tumhare gunah mita dega.

Ref ( Tirmizi Sharif, Miskat Sharif, Page, 86 )



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com




No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.