Zikre nabi
ZIKR E NABI
Noore Mustafa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Hazrat Aadam ki Peshani me
Imam fakharuddin razi allahu ta'ala anho aur ashique rasool imam yusuf bin ismail nabhani razi allahu ta'ala anho likhte hai kya Allah ta'ala ne hazrat aadam alaihis salam ko piada farmaya noore mustafa sallallahu alaihi wasallam hazrat aadam alaihi salam ki peshani me rakha aur hazrat aadam alaihis salam ko farishton ne jo shajda kiya tha wo noore mustafa sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki wazah se tha beshaq noore mustafa sallallahu ta'ala alaihi wasallam hazrat aadam alaihis salam ki peshani me jalwa gar tha
Ref (Tafsire Kabir, jilad, 2 Page, 318 Jawaherul bahaar, Page, 153 )
Imamul mohadesin alllama jalaluddin siyuti razi allahu ta'ala anho hazrat imam ibne shaba ka qaul nakal farmate hai ibne shaba ne kaha ki huzoor Sallallahu ta'ala alaihi Wasallam ke khashayesh me se tha ki aap Sallallahu ta'ala alaihi Wasallam ka shaya zameen par nahi parta tha aur beshak hazoor Sallallahu ta'ala alaihi Wasallam noor the
Ref ( Khashayise Kubraha, Zilad, 1 Page, 169 )
Hazrat imame aazam abu hanifa razi allahu ta'ala anho farmate hai Ya Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi Wasallam aap wah noor hai ki chand aap hi ke noor se raushan hai aur soraj ki chamak bhi aap hi ke noor se hai
Ref ( Qasidtun Noman, Page 23 )
Ala hazrat imam ahmad raza fazile barailvi nakal farmate hai ki aarife billa saiyde abdul gani nab lashi razi allahu ta'ala farmate hai beshak har chiz Nabi sallallahu ta'ala alaiie Wasallam ke noor se paida ki gayi jaisa ki hadishe shahi me aaya hai
Ref ( Salatush Safa, Fi Nooril Mustafa, Page 9, Aladikatun Nadiya, jilad, 2 Page, 375 )
Huzur ke Muskurane se ghar raushan ho gaya
Ameerool Momineen hazrat aayesha siddqua razi aalahu ta'ala anha farmati hai ki raat ke waqat main kapra sil rahi thi ki mere hath se suyi gir gayi maine bahut talaash ki magar suyi nahi mili itne me Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi Wasallam tasrif le aaye aur aap Sallallahu ta'ala alaihi Wasallam ke chehre noor se is kadar ujala phayala ki ghum shuda shuyi zahir ho gayi mil gayi
Ref ( Khasayishe Khubrah, jilad, 1 Page, 156 )
Lakri se raushani Zahir Huyi
Do sahabi raat ke waqat hamare huzoor sallallahu ta'ala alaihi Wasallam ki bargah me hazir the, baat lambi ho gayi waqat zyada gujar gaya, raat bahut tareek thi har taraf andhera hi andhera tha aur muzi janwaro ka khatrah bhi tha aur raushani ka koi intzam na tha to hamare huzoor sarapa noor sallallahu ta'ala alaihi Wasalam ne ek lakri ko apne daste noor me lekar sahabi ko aata ki to us lakri se raushani zahir hone lagi aur usi raushani me dono sahabi apne apne ghar pahunch gaye
Ref ( Mishkat Sareef, Page 536, Zame Qaramat Aulia, Page 419 )
Hazraat hamare huzur Sallallahu ta'ala alaihi Wasallam allah ta'ala ke aise noor hai ke aap sallallahu ta'ala alaihi Wasallam daste noor lakri ko lag jaye to lakri se bhi raushani aur chamak zahir hone lagti hai khoob farmaya ala hazrat pyare raza, achche raza, imam ahmad raza fazile barailvi razi allah ta'ala anho ne
chamak tujhse pate hai sab pane wale
mera dil bhi chamkade chamkane wale
♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡
Next post inshaAllah soon
♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧
♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments