Zikre nabi
ZIKR E NABI
Hazrat Asiyad ka chehra raushan ho gaya
Hamre Huzur sarapa noor sallallahu alaihi wasallam ne apna daste noor hazrat asiyad bin abi ayash ke chehre aur sine par phera to unka chehra iskadar raushan ho gaya ki andhere ghar me dakhil hote to wo ghar bhi raushan ho jata
Ref ( Kanjul Amal, Zilad, 7 Page, 9 )
Ae iman walo hamre huzur noorun ala noor sallallahu alaihi wasallam ka daste noor hai ke kale chehre par lag jaye to chehra hamesha ke liye raushan ho jaye. Hamre huzur sallallahu alaihi wasallam aise noor hai jo apne gulamo ko noor ke khairat de kar noor wala bana dete hai. ala hazrat imam ahle sunnat imam ahmad raza fazile barailvi razi allahu ta'ala anho farmate hai
Main gada tu baadshah bhar de piyala noor ka
Noor din duna terah de dal sadka noor ka
Huzur ke zisham noor ka shaya na tha
Hadish Sarif Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ka shaya najar na aata tha dhup me na chandni me
Hadish Sarif Hazrat e Abdullah Bin Abbas razi allahu ta'ala anhuma rawayat karte hai ki rasool allah sallallahu alaihi wasallam ke liye shaya na tha soraj ke shamne aur na chirag ki raushani me
Ref ( Kitabul Wafa, Zilad, 2 Page, 407 Bahwala Nafi-Yul Fai, Page 52 )
Hadish Sarif Hazrat imam jalaluddin siyuti razi allaho ta'ala anho al namo zejil labib fi khashayesil habib me farmate hai nabi sallallahu alaihi wasallam ka saaya zaamin par na para huzur sallallahu alaihi wasallam ka shaya Nazar na aana, na dhup me na chandni me. Ibne shaba ne farmaya isliye ke huzur noor hain
Ref ( al namo zejil labib, Page 53, Nafi-Yul Fai, Page 53 )
Aur ashiqu'e mustafa pyare raza achche raza imam ahmad raza fazil e barailvi razi Allah ta'ala anho farmate hai
Tu hai saaya noor ka har azw tukda noor ka
Saaya ka saaya na hota hai na saaya noor ka
Hazraat ! hamare huzur sarapa noor sallallahu alaihi wasallam ke zisme noor ka saaya na tha uska saboot aahadishe karima aur aimma kiram w muhaddesin izam ke akwal w bayanat se sabit ho chuka aur (1) hafiz razim mohaddish w allama ibne shaba ne shafa-Us shudur me (2) aur allama kazi ayyaz ne shifa sarif me (3) aur allama jalaluddin shiyuti ne khasayise kubrah me (4) aur alama shahabuddin khafaji ne nasimur riyaz me (5) aur alama katalani ne mawahibe laduniya me (6) aur alama zarkani sharhe mawahibe laduniya me (7) shaikh abdul haque mohaddis dehlwi ne (8) aur shaikh mojadid alfe sani faruque sarhandi ne (9) aur behrul uloom abdul haiy lakhnavi ne (10) aur mawalana shah abdul aziz shahab mohaddin dehlvi wagairahum ne bhi likha hai ke rasool allah sallallahu alaihi wasallam ke zisme paak ka saaya na tha isliye ki huzur noor the
Ref ( Nafi-Yul Fai, Page 52, )
Huzur ka shaya tamam jahan par hai
alama shahabuddin khafazi razi Allah ta'ala anho nasimur reyaz me tehrir farmate hai mahboobe khuda rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ke zisme pak ka saaya huzur sallallahu alaihi wasallam ki hurmat w buzurgi ke sabab zamin par na parne diya gaya, bawazud iske ke tamam aadmi aur tamam jahan huzoor pur noor sallallahu alaihi wasallam ke saaya me aram karte hain aur rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ka basar hona noor ke monafi nahi
Ref ( Nafi-Yul Fai, Page 54, )
Imam Nasfi Tafsire madarik shareef me farmate hain hazrat usman e gani razi Allah ta'ala anho ne huzoor sarapa noor sallallahu alaihi wasallam ki bargah me arz kiya ke beshak Allah ta'ala ne huzoor sallallahu alaihi wasallam ka saaya zamin par na parne diya ki koi shaksh us par pao na rakh de
Ref ( Tafsire Madarik, Zilad, 3 Page, 35 Bahwala Nafi-Yul Fai, Page 58 )
Imam Ahle Sunnat Ala Hazrat Imam ahmad raza fazile barailvi razi Allah ta'ala anho naqal farmate hain ki imam ahle sunnat sayyedena imam abul hasan as'ari razi Allah ta'al anho ne matale-ul mosarraat shareef me tahrir farmaya jiska khulasha yah hai ki main Allah ke noor se bana hu farishte mere noor se paida kiye gaye hai. aur farishto ka shaya nahi hota hai jo mehboobe khuda, mustafa jane rahmat sallallahu alaihi wasallam ke noor se bane hain aur hamare huzur sallallahu alaihi wasallam Allah ke noor se bane hain to aap sallallahu alaihi wasallam ke jisme noor ka shaya kaise mumkin ho sakta hai
Ref ( Talkhis Kamrut Tamam Fi Nafi-Yuz jil an Saidil Anam, Page 46 )
Aye iman walon ! mokhalif keh sakta hai ki huzur sallallahu alaihi wasallam insan hain aap ke aankh, kan, hath, pair, jism w jismaniyat hai aur farishte to sirf noor hai bazahir hath, pair, aankh, kan, zism w zismaniyat nahi hai isliye uska saaya nahi hai. To hum ahale sunnat ka jawab yah ki fariste huzur sallallahu alaihi wasallam ke noor se paida kiye gaye hai to jab unka saaya nahi hai to Allah ke noor se banne wale hamare pyare nabi sallallahu alaihi wasallam ka saaya bhi nahi hai.
Aur dusra jawab yah hai ki muta'addid martaba hazrat jibrail alaihis salam basar ki shakal me insan ke lebas me bazahir kan, nak, hath, pair, zism w zismaniyat ke sath hamare sarkar, Ahmade mukhtar, habibe parwardigar sallallahu alaihi wasallam ke darbare goharbar me hazir hote to kya koi bad aqida hazrat jibrail alaihis salam ke saaya ka sabut de sakta hai. Nahi de sakta. Hargiz nahi de sakta. To ab manna parega ki noor ka saaya nahi hota, chahe noor lebase basri me ho ya lebase basri me na ho. hamare huzur sallallahu alaihi wasallam ki walida majidah hazrat aamana tayyibah razi Allah ta'ala anha farmati hai ki rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ki paida'ish ke waqt maine dekha ke ek aisa noor zahir hua jisse sham ke muhallat raushan ho gaya
Ref ( Masnad Imam Ahamad, Zilad, 4 Page, 127 Dalailul Nabuwat, Zilad, 1, Page 83 )
aur ek rawayat me hai ke huzur sallallahu alaihi wasallam ki paida'ish ke waqat magrib se masriq tak raushan ho gaya
Ref ( Anware Mohammadia, Imam Nabahani, Page 240, )
Baz rawayat me hai tamam duniya noor se bhar gayi
Ref ( Khasaishe Khubrah, Zilad, 1 Page, 118, Nafi-Yul Fai Ala Hazrat, page 65 )
Hazraat ! hamare huzur sarapa noor sallallahu alaihi wasallam ki paida'ish ke waqt aisa noor zahir hua jisse sari duniya raushan ho gayi pura aalam manawwar ho gaya.
Noor andar noor bahar kuchaa kuchaa noor hai
Balke yu kahiye sari duniya ki duniya noor hai
♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡
Next post inshaAllah soon
♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧
♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments